IIT kharagpur ke 58thconvocation ki sham hai,
kuch mast chahal pehal dikh rahi hai charo taraf, raat bhar daru sutta ganja
marne ke baad 2.2 ki shobha badhaye hue hain. Khair wo to apne hi aadmi hain,
par nazar atak jati hai kal ki mehmaan mandali dekhke, rashtrapati se leke
governor tak sabhi aa rahe hain, mana kgp bada hai, par iska arth ye to nahi ki
parliament ko yahi shift karne ki yojana banai jaye. Ab ye to bade vidwan logo
ki batein hain hame samajh me nahi aane wali isliye iss vichaar pe comma lagake
kahin aur mann lagane ka dil kiya fir ehsaas hua ki wo din door nahi jab hame
bhi degree inhi mahapurusho ke hathon milegi, manan chintan me doob jane ka man
karta hai ki hamne aise kya paap kiye jo itne kukhyat ucchstariya akhand bhrasht
praniyon ko izazat di jaye hamari 4-5 saal ki mehnat se kamai hui degree pe
stamp maarne ki. Akhir kyu?
Dil kuchh bhi kahe dimaag bada hoshiyar hai hamara, usne to
seedhe seedhe bol dia bhai tu kaun sa dhoodh ka dhula hua hai, aaj yahan se
degree le raha hai kal inhi me shamil hone ki poori ichcha pala hua hai, jo
avsar inhe prapt hua hai param tapasya ke baad wo din dugni raat chowguni chori
ka avsar hame kyu na prapt ho :P
Aur dimaag to sab janta hi hai, jin rajnetao ko aaj dil hi
dil gaali di ja rahi hai, yad karo wo din jab khud raajniti khelke khud ko bada
wala stud samajh rahe the, are han bhul gaye wo elections wale din, hall ke
secy se leke insti ke VP tak ke chunav me jo raita failaya tha, mazza to khoob
aaya tha. Mujhe ye avsar jyada mil nahi paya nahi to bhagwan se prarthana to
roz sirf itni rehti hai ki kaash hame bhi kisi hall, society, fest ityadi ka
Gsec type bana dete, lakhon ka budget banake hazaron khane me burai hi kya hai,
saal bhar me 1-2 I-phone aur bike ka intezaam to ho jata, arre nahi itna jyada
bhagwan se mangte hue sharam bhi aati hai, par room me lagane ko 5.1 speakers
aur personal printer me kya burai hai. Itni chori to chalti hai, akhir aage
jake Coalgate aur CWG wale scam karne ke liye practice to abhi se chaiye, kuch
hall ke happa gan to ye tak soch hi jate hain ki apna candi jitane ke liye jo
masshakat ki thi gymkhana elections me, itni rashtriya star pe karte to hum
khud hi parampoojya manmohan ji ki jagah baith jate, aur mujhe to vishwas hai ki
apne andar ke bhrasht vanmanush ko ujagar karne ke jitney avsar yahan milenge,
utne me to desh ko bechne layak ban hi jayenge.
Bas yahin kuchh khyal the jo baar baar yaad dila rahe hain
ki ae dost abhi do saal baki hain, himmat na haar mauke aur bhi aayenge cali
aajmane ke J