Friday 14 September 2012

In the service of corruption


IIT kharagpur ke 58thconvocation ki sham hai, kuch mast chahal pehal dikh rahi hai charo taraf, raat bhar daru sutta ganja marne ke baad 2.2 ki shobha badhaye hue hain. Khair wo to apne hi aadmi hain, par nazar atak jati hai kal ki mehmaan mandali dekhke, rashtrapati se leke governor tak sabhi aa rahe hain, mana kgp bada hai, par iska arth ye to nahi ki parliament ko yahi shift karne ki yojana banai jaye. Ab ye to bade vidwan logo ki batein hain hame samajh me nahi aane wali isliye iss vichaar pe comma lagake kahin aur mann lagane ka dil kiya fir ehsaas hua ki wo din door nahi jab hame bhi degree inhi mahapurusho ke hathon milegi, manan chintan me doob jane ka man karta hai ki hamne aise kya paap kiye jo itne kukhyat ucchstariya akhand bhrasht praniyon ko izazat di jaye hamari 4-5 saal ki mehnat se kamai hui degree pe stamp maarne ki. Akhir kyu?

Dil kuchh bhi kahe dimaag bada hoshiyar hai hamara, usne to seedhe seedhe bol dia bhai tu kaun sa dhoodh ka dhula hua hai, aaj yahan se degree le raha hai kal inhi me shamil hone ki poori ichcha pala hua hai, jo avsar inhe prapt hua hai param tapasya ke baad wo din dugni raat chowguni chori ka avsar hame kyu na prapt ho :P

Aur dimaag to sab janta hi hai, jin rajnetao ko aaj dil hi dil gaali di ja rahi hai, yad karo wo din jab khud raajniti khelke khud ko bada wala stud samajh rahe the, are han bhul gaye wo elections wale din, hall ke secy se leke insti ke VP tak ke chunav me jo raita failaya tha, mazza to khoob aaya tha. Mujhe ye avsar jyada mil nahi paya nahi to bhagwan se prarthana to roz sirf itni rehti hai ki kaash hame bhi kisi hall, society, fest ityadi ka Gsec type bana dete, lakhon ka budget banake hazaron khane me burai hi kya hai, saal bhar me 1-2 I-phone aur bike ka intezaam to ho jata, arre nahi itna jyada bhagwan se mangte hue sharam bhi aati hai, par room me lagane ko 5.1 speakers aur personal printer me kya burai hai. Itni chori to chalti hai, akhir aage jake Coalgate aur CWG wale scam karne ke liye practice to abhi se chaiye, kuch hall ke happa gan to ye tak soch hi jate hain ki apna candi jitane ke liye jo masshakat ki thi gymkhana elections me, itni rashtriya star pe karte to hum khud hi parampoojya manmohan ji ki jagah baith jate, aur mujhe to vishwas hai ki apne andar ke bhrasht vanmanush ko ujagar karne ke jitney avsar yahan milenge, utne me to desh ko bechne layak ban hi jayenge.

Bas yahin kuchh khyal the jo baar baar yaad dila rahe hain ki ae dost abhi do saal baki hain, himmat na haar mauke aur bhi aayenge cali aajmane ke J

No comments:

Post a Comment